Flu And Cold are Different

flu,cold,cold and flu,common cold,flu treatment,natural cold and flu remedies,cold and flu remedy,common cold (disease or medical condition),cold or flu,cold symptoms,cold remedies,flu symptoms,health,prayer for cold and flu,how to instantly cure cold and flu,homemade cold and flu,how to fight cold and flu with baking soda,dr morse detox cold and flu,flu,cold,cold and flu,health tips in hindi,home made cold and flu remedy,swine flu,health tips in urdu,flu treatment,common cold,flu remedies,flu home remedies,hindi,nazla zukam ka desi ilaj in urdu,nazla zukam ka desi ilaj in hindi,nicip cold & flu,home remedies for cold and flu,flu home remedies in urdu,desi totkay upay for cold and flu nazla zukam in urdu hindi

Assalamu alaikum va rahematullahe va barkatuhu

Dosto Nuzla aur zukam aisi bimariya hai jisse har din koi na koi bimar hota hai.Kyuki ye bimari virus se phailti hai is likye ek insaan se dusre insaan me transfer ho jaati hai.Nuzla aur zukam zyadatar sardiyo ke mausam ki bimari hai iska asar unn logo par hota hai jo sard area me rahete hai aur dusre wo log jinka immunity system pahele se kamzor hota hai.

Agar aap kisi se uski kairiyat puchege to wo kahega nuzla aur zukam hua hai.jabki khaas baat to ye hai ke aam taur me ek samjhe jaane vaali bimari ek dusre se bilkul alag hai.lekin dono ke nishaniya ek jaisi hone ki vaja se inme Different ka pata lagana mushkil hota hai.


Different Between Nuzla (Flu) and Zukam(Cold)

Dosto nuzla wo hai jisse aamtaur pe sardi bhi kaha jaata hai.ye ek virus ka infection hota hai.jisse insaan ko mamuli sa bukhar hota hai.Jabki zukaam ki surat me tez bukhar chadhta hai.jisse sir dard aur body me pain hone lagta hai.

Dosto nuzla aur zukam me farq karne ka sabse achcha tarika ye hai ke nuzle me inaano ki naak baheti hai aur gale me kharash hoti hai.Jabke zukam mebalgam ka resha ban jaata hai jo naak me jama ho jata hai.jiski vaja se saans lene me dushvari hoti hai.Aur kai martaba aisa mahesoos hota hai jaise dam ghut raha ho.
Nuzle me halki si thakavat mehsoos hoti hai jabki zukam me puri body thakaan bahot zyada hoti hai.Nuzla me balgmi aur sukhi khaansi hoti hai jabki zukam me sirf balgami khaansi hoti hai.Isi tarha nuzle me cheekne ke duaraan virus dusre aadmi me transfer ho jaate hai lekin kabhi kabhi aisa nahi bhi hota hai.Jabke zukam ke virus bahot speed se dusre aadmi me transfer hote hai.Ye kehna galat nahi hai ke zukam nuzle se zyada khatarnak hai.

Dosto iske alava insaano me phailne vali bimaari aadhe sir ka dard hai.Ye bimari kisi ko bhi ho sakti hai .Mardo ke mukable me aurto ko ye bimari zyada hoti hai.iss dard ko darde shakika bhi kaha jata hai.Iss bimari ko migren bhi kaha jaata hai.Iss bimari me aankho ke piche dard hota hai aur dard sir me kisi ek taraf hota hai.


Doctors ka kehna hai neend ki kami,khaane ka hazam na hona aur zaheni dabav ki vaja se ye bimari ho sakti hai.janke aamtaur pe jo log paani kam pite hai khaana barabar nahi khate in logo se ye bimari pata chalti hai.Dostors kahete hai ke subha ka naashta khayebagair din ki shuruat naa kare.sirf tea aur coffe ke bharose naa rahe.Aisi cheeze kam khaye jisme amino acid hota hai jaise Gosht,paneer aur moongphali.Ek din me kam se kam 2 se 3 liter paani piye aur chay coffe kam kare.

Post a Comment

 
Top