What is insomnia in Hindi

insomnia symptoms,effects of insomnia,types of insomnia,how to cure insomnia

Assalamu alaikum va rahematullahe va barkatuhu

Dosto neend hamare liye allah ki taraf se ek khubsurat tohfa hai.hum normally hamari zindagi ka aadhe se zyda hissa sone me bita dete hai .


Dosto aaj aapko batane vale hai ek bahot hi common bimari ke baare me jise insomnia kaha jata hai to chalye jaante hai ke ye aakhir kya hai.

What is insomnia

Neend ka na aana raat ke waqt sote huye aankh khul jana yaa phir subha jaldi aankh khul jana baar baar aankh ka khulna ise Insomnia kehte hai.
Insomnia ki teen kisme hoti hai jo niche di gayi hai.

1:Transient

Transient condition me insaan ko kabhi kabhi aisa hota hai ke neend naa aana baot zyada pressure hona yaa phir jab hum baot tension me hote hai tab aisa hota hai isko Transient kehte hai.

2: Intermittent

Iss condition me aapko kabhi kabhi aisa hoga jaise neend ka naa aana baar baar aankh khulna lekin ye sab kabhi kabhi hota hai is liye isko itna serious lene ki zaroorat hai hoti

3:Chronic

Iss condition me hamesha aisa hota hai ke aapko neend nahi aati aap jaagte rehte hai aur ye bahot hi tension ki baat hai .kyuki iske liye aap ko medical treatment karvana zaroori hota hai.iske bagair aap nahi so sakte .aksar karke ye bimari 60 age vale logo ko hoti hai .aap ne apne ghar me bhi dekha hoga zyada age vale logo ko jaldi neend nahi aati.

Dusra isme kuch female hoti hai jinko ye bimaari hoti hai .Ubke body me harmons ke imbalance ki vaja se ye problem ho sakti hai.zyada tar manuposal condition me ye hota hai.

                                            What is insomnia

Iske alava kuch businessman hote hai jo bahot deprassion me pressure me hote kuch employes hote hai jinke saath ye ho sakta hai .jaldi neend naa aana aankh khul jana ye sab ho sakta hai.

Kai martaba bachcho me students me bhi ye dekha jata hai jab exam kareeb ho ya koi dosto ka matter ho usme unhe neend nahi aati. To ab aap ko pata chal gya ke insomnia kya hai ye kaise hoti hai.


Zayda tar log jab unhe iss bimaari ka pata chalta hai to wo kisi bhi doctor ke pass jaa kar sleeping pills lena shuru kar dete hai .jisse unhe neend to aa jaati hai lekin uske sideffect bhi bahot hai.baad me aapko bina sleeping pills ke neend nahi aayegi.to behtar yahai hai ke iska pura ilaaj kiya jaaye.

Agar aapko ye Information achchi lagi to please share kare.

Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post a Comment

 
Top