What is Telepathy how It works?

telepathy,telepathic,how to do telepathy,twin telepathy,telepathy exercise,telepathy in hindi,telepathy meditation,telepathy in urdu,telepathy (character power),telepathy techniques,what is telepathy,how to develop telepathy,how to be telepathic,telepath,meditation,mind,science,law of attraction,brain,psychic,mind reading,telepathy frequency,binaural beats telepathy,activate telepathy,is telepathy real,is telepathy possible


Assalm walekum va rahematullahe va barkatuhu

Dosto Ilm ki Duniya bahot badi hai jisme hairat angez ulum paaye jaate hai.Jisme kuch to hame pata hai aur kuch se hum koso door hai.Hamara aaj ka Topic hai TelePathy.

Dosto Telepathy do words se milkar bana hai.Tele mattalab Fasla aur Pathy matlab soch ya khayaal hai.Normal language me kaha jaaye to Dimag se Dimag ka Contact karna hai yaasoch ke zariya kisi tak massage pohochana hai.

Dosta iska aagaz 1882 me hua aur iski shuruat karnevala Fredrick meriss tha.Jo soch ke zariye apne khayalat dusro tak pohchata tha.Iss Ilm par  alag alag scientist ne experiment kiye inme se ek khaas naam Ervin Bishop ka hai jisne 19th century me ispe kai experiment kiye aur wo kaamyab bhi raha .Iss dauraan wo kisi bande ko iski hatheli yaa iske haath ko chu kar iske harkaat ko pae haidhta tha aur iske dimag me maujood maloomat se apne saval ka jawab talash karta tha .Audio meter moments kahete hai.iske baad steverd cumberland bhi iss duniya me ek khaas naam hai,wo is amal ke zariye gumshuda chizo ko talash karta .ye jurm ki duniya me jurm ka pata lagane me logo ki madad karta tha.wo matluba shakhs ko jaay vaardat ke baare me sochne ka kaheta aur iss tarha uske dimag ko padh kar jurm ko hal kar deta .Matlab iss amal ka ye bhi faatda hua ke taheqiqi kamo me iska sahara liya jaane laga.

Iss scientist ka ye kahena tha ke Telepathy koi genuine kism ki maharat nahi balki ye muscle movment ki reading hoti hai jisme muscle ki harkat ko padha jata hai aur apne javab tak pohcha jata hai.

Lekin yaha sawal ye paida hota hai ke kya ilm sach hai yaa phir sirf bani banayi baate hai.
To dosto iss tarha ke ilm aur bhi dusre ilm vajood to rakhte hai.Lekin aam insaan ki soch se koso door hote hai.aur un tak pohchna har kisi ke bas ki baat nahi hoti.
Kyuki maharat ke bagair iska istemal karna bahot se khatro se do char kar deta hai.

Dosto Telepathy aksar hamare 6th sense ko bhi kaha jata hai.Matlab aksar jab hamare dost,rishtedaar ya kareebi log kisi mushkil me padte hai ya kuch galat hone vala ho to hame pata chal jata hai.Isi tarha aksar 2 log ek waqt me ek jaisa soch rahe hote hai ya ek saath ek jaisi baat kar dete hai isko bhi dimag ka mil jana ya soch ka mil jana yaani telepathy kaha jata hai.Lekin khas baat ye hai ke jab ek banda dusre bande tak dimag ke zariye koi massage ya apni koi feeling is tak pohcha raha hota hai.Lekin ye sab karne ke liye chand baato ko dhyan me rakha jata hai aur wo ye hai ke isme pahele consantrate kiya jaata hai matlab dono person ka aaspaas de dhyan hatakar sirf uspe mutuvajja kiya jata hai.Aur dusri baat yaqeen karna hota hai ke mera massage dusre tak pahoch raha hai. ye intehai ahem points hai.Aur iske liye itminaan bhi zaroori hai aur kuch khaas tarha ki excersise bhi hoti hai.Isi tarha alag alag signal codes bhi istemal kiya jaate hai.Jinke zariye iss amal me maharat rakhne vale log apne massage pohachate hai.

Lekin Dosto har chiz ke kuch faayede aur nuksaan hote hai.Isi tarha is ilm ko bagair sikhe ya bagair maharat ke istemal karna bhi khatre se khali nahi hai.Kuch log to iss ilm ko haasil karne ke liye har had tak chale jaate hai.Phir chahe apne dimag se haath dhona pade ya kisi khatre ka saamna hi kyu na karna pade wo har tarha se in se judna chahte hai.

Kai martaba iss ilm ki exersise karne se insaani blood volume change ho jaata hai.jiski vaja se kai dil ki bimariya ho jaati hai.Isi liye mera iss amal ko batane ka maqsad sirf inse aagahi nahi balki in ulum ka galat istemal ya bagair maharat ke istemal karke apne aap ko nuksaan pohchane se bhi aap ko rokna hai.

Beshk Ilm ek roshni hai lekin wo ilm jo aapko aur dusro ko faayda de.naa ki nuksan dene vala ho.Lehaza dosto jo bhi ilm haasil kare ise logo ki bhalim ke liye istemal kare.

Allah HAafiz. 

Post a Comment

 
Top