Trees Can Talk To Each Other


trees,talk,how trees talk,how trees talk to each other urdu hindi,how trees communicate,green,what plants talk about,amazing facts of trees,importance of trees in urdu,do trees talk to each other?,if these trees could talk,trees talk to each other,can trees talk,how trees talk to each other,talk amongst the trees,do trees talk to each other,best of if these trees could talk
Assalamu alaikum va rahematullahe va barkatuhu


Dosto Zameen par rahene vale tamam jaandar ko allah taala ne diffrent diffrent kaabliyat se navaz rakha hai.Aur sabhi ko dekhne sunne samjhne aur baat karne ki salahiyat ata ki hai.Jin ke zariye wo ek dusre se contact karte hai baat karte hai .Lekin yaha sawal ye hota hai ke jis tarha tamam jaandar ye sab kar sakte hai kya Ped,paudhe,darakht bhi aapas me baat kar sakte hai ?.Kyuki unme bhi jaan hoti hai aur wo badhte hai phal aur phool paida karte hai  to kya tamam jaandar ki tarha ye bhi bolne ki salahiyat rakhte hai.ye sab baate to kabhi aapke dimag me bhi aayi hogi To dost aaj main aapko batata hoo ke sach kya hai.


Trees Can Talk

Dosto France univercity ki ek latest research me pata chala hai ke Insaano ki tarha darakht bhi apni zindagi ke liye kahet ke dauraan Ultra sonic aavaze nikalte hai.ye aavaze insaano ki pahoch se 100 guna tez hoti hai isliye ye insaano ko samajhne yaa sunne me nahi aatai hai.
Research ke dauran ek marti huyi lakdi ka hydrogel me rakh kar uspar practical kiya gaya jisse pata chala ke wo lakdi ajeeb si aawaz nikal rahi thi uss amal ke chalte huye hawa ke bulbule jaisi aawaz aati thi aur band ho jaati thi.Research karne valo ne isse ye andaza lagaya ke ye paani maang rahe the
scientist ke hisaab se iss tarike se darakht zameen ke niche se paani haasil kar lete hai.Kyuki wo havai bulbule se zameen me rahene vali nami ko apne andar khichne ki koshish karte hai.


Dosto isse pahele ek Bartanya ke scientist ne bhi ye baat batayi thi ke darakht naa sirf aawaz sunkar react karte hai balki wo ek dusre se alag alag aawaz me baat bhi karte hai.Bratanya ke ek univercity me ki gayi research ke mutabik paude ya darakht ke niche aapko tez hawa mehsoos ho to asal me wo ek dusre se continue baat me lage hote hai.

Scientist ka ye pahele pukhta saboot hai ke darakht ki apni ek alag zaban hoti hai.jise insaan nahi sun sakte .Research me shaamil Daniel robit ka kehna hai darakht aur paude apni jado ke zariye ek dusre se continue contact me rahete hai.


Trees Can Talk


Lekin Dosto Science echnology ne jis baat ka pata ab lagaya hai wo baat Kaaynaat ke sabse sachche Insaan aur aakhri messanger Muhammed(SAW)  ne 1400 saal pahele apni ummat ko bata di thi.waise to iske baare me kai zaeef hadees bhi hai.jinko sahi hadees aur science ke research ke baad gaur talab kiya jaa sakta hai.Bukharei shareef ki ek hadees pesh karta hoo jisse aapko apne musalman hone par fakhra to hoga hi wahi aapko islaam ek sachcha mazhab hai iske baare me mutmaiin ho jaaye.
Sahi bukhari ki hadees ke mutabik pyare nabi ek khajoor ke ek sookhe tane se tek lagakar juma ka khutba farmaya karte the jab minbar banaya gaya aur aap (SAW) ne uss khushk tane ke satoon ko chod kar minbar par khutba dena shuru kiya to sutoon cheekh kar iss zor se rone laga ke maano phat jaayega.aap SAW ne minbar se utarkar iss sutoon ko gale se laga liya to wo iss tarha hichkiya lene laga jaise bachcha rone se chup hone par siskiya leta hai.phir iska rona band ho gaya aap SAW ne farmaya ye hamesha vaaz suna karta tha ab judai ke sadme ko bardasht naa kar saka aur rone laga.

Ibne maaja ki ek hadees ke mutabik hazrat Jabir bin abdullah rz.farmate hai  (sutoon ke rone ki)aawaz tamam ahele masjid ne suni (iska rona sunkar)app SAW iss ke pass tashrif laaye aur ispar apna daste shafaqqat phera to wo pur sukoon ho gaya.baaz sahaba kahene lage -agar aap SAW iske paas tashreef naa laate to ye taa kayamat tak rota raheta.

Dosto ye waqia hadees me bahot martaba bayan kiya gaya hai.Dosto in tamaam bato se ye pata chalta hai ke bani nooh  insaano ki tarha ye darakht bhi hamare tavajje ke taalib hai .bhale hi inki zubaan har koi samajh nahi sakta lekin baa vajood iske ye hamari zimmedari hai ke hum in jaandaro ki zarooriyat ka bhi khayaal rakhe.inse dosti kare kyuki hamari duniya me inhi ki vaja se khubsurti maujud hai.aur hamari maujuda zindagi me hamare rozmarrah ke kaamo me bhi kaafi madadgaar hai.
Isliye inhe apne chulhe ka indhan banane ki bajaye aap inke indhan ka bandobast kare  aur inse faayeda uthaye.

Jitne zyada darajht hoge utna hi polution kam hoga.isliye aap chahe duniya me kahi bhi rahete ho apne aas paas safai rakhe aur kam se kam ek aadmi ek paudha lagaye .taake hamari aane vali pidhi ko aage chal kar koi takleef naa ho.

Achcha lage to auro tak share kare.

Post a Comment

 
Top