The Black Hole In Hindi


black hole,black holes,black hole in hindi,black,what is a black hole,time travel through black hole,black hole sun,supermassive black hole,hole,black holes explained,black holes in space,what's inside a black hole,mini black hole,black hole kya hai,black hole size comparison,black hole kya hota hai,inside black hole,black hole facts,space,black holes inhindidocumentary,supermassive black holes,holes,universe in hindi

Assalamu alaikum va rahematullahe va barkatuhu


How Are Black Hole Born.


   Dosto New science techology ke mutabik suraj se 4 ya 5 guna bada sitara apni umar guzaarne ke baad jab marne ke qareeb aata hai tab us waqt uske markaz me bahot saare element paida ho jaate hai.Jaise Hydrogen,Helieum aur Carbon ya phir agar loha bhi paida ho jaaye to wo sitara apna Indhan khatam karke khula me ek zordar dhamake ke saath phat jata hai jisse uske zarre kaaynat me phail jaate hai.Lekin iske Markaz me bahot zyada khichao ki vaja se ek kala bhavar banta hai jo baad me Black Hole ban jaata hai.Aur phir vahi sitara us black hole me doob jata hai.

Dosto iss black hole ke khichav ki taaqat ke baare me kaha jata hai ke ye itni zyzda hai kisi bhi badi body ke madda ko ek chote se body me convert karke apne andar le sakta hai.Quraan pak ki sure waqiaa ki ayat 75 me Allah taala irshaad farmate hai."Qasam hai sitaro ke dubne ke mukam ki aur agar tum samajh sako to ye bahot badi kasam hai".


Types Of Black Hole

Dosto Science ke mutabik ye black holes 3 type  ke hote hai. Sabse pahele aata hai uska naam hai Miniature, Iska size itna chota hota hai mano atom ka ek zarra Lekin iski khichav ki taaqat itni hoti hai ke ye ek bade pahad ko chota karke apne andar sama sake.

No.2 pe hai Steller,Inka size suraj se 20 guna bada hota hai aur science research ke hisab se ye Hamari kahekasha Milkyway me unlimited ho sakte hai.

No.3 par hai Supermassive, Ye black hole kaaynat ki har kahekasha me available ho sakte hai.Aur jo hamari kahekasha Milkyway ke markaz me paaye jaane vaale black hole hai inko Sagittarius ka naam diya gaya hai.Inki body mass ke baare me kaha jaata hai ke ye takreeban 40 lakh suraj ke barabar hai.


Black Hole And Quraan

To Dosto ab baat karte hai black hole ki quraan pak me maujood saaf isharo ki.Dosto kaaynat me black hole ki jaga ka andaza hum is tarha laga sakte hai ke iske beech me se ek roshni jo doodh ki dhar ki tarha nikalti hai aur andhere me surakh karke door tak chali jaati hai.Kyuki khula ka rang kala hai aur ye roshni safed hoti hai .to iss vaja se scientist black hole ki maujudgi ka andaza lagate hai. Dosto agar hum quraan paak ke sure taariq ki shuruat ki aayat ko dekhe to hame black hole ki maujudgi ka pata 1400 saal pahele hi mil  chuke hai.Sure taariq ki ayaat no. 1 to 3 me allah taala ka irshad hai"Aasman aur taariq ki qasam aur tumhe kya malum Taariq kya hai ye wo sitara hai jo saquib hai"

Dosto arbi zuban me Taariq aur saquib ke bahor se matlab nikalte hai.Jaise raasta   aar par,shagaaf aur iske alava doodh ki tarha safed dhar bhi iske maano me shamil hai.aur kaha jata hai ke black hole ke beech se nikalne vali ye roshni haqeeqat me ek aasman se dusre aasman me jaane ka raasta ho sakti hai.Iske baare me sure muminoon ki ayaat no.17 me allah taala ka irshad hai
"Hume tumhare oopar 7 aasman banaye hai aur hum makhlookat se gaafil nahi hai".

Dosto science ka kehna hai ke aasma ya kaaynat ek nahi balki ek hi time me unlimited hai.iss haqeeqat ko allah taala ne sure nooh ki aayat no.15 me is tarha bayan kiya hai "Kya tum nahi dekhte ke Allah taala ne tumhare oopar tale kis tarha saat aasman paida kiye hai.Isi tarha sure hijar ki aayat no. 16 me Allah taala farmaate hai"yaqeenan hamne aasman me burj banaye hai aur dekhne vaalo ke liye use saja diya gaya hai".

Burj arbi zubaan me qile minaar ya khadi building ko kahete hai.Puraane zamane me burj ka word in 12 mazilo ke liye istemal hota tha jinpar suraj ke madaar ko baanta gaya tha.Isi liye un logo ne samjha quraan pak ka ishaara inhi burj ki taraf hai.baaz logo ne sayyaro se iski tulna ki lekin kuch ke mazmoon par gaur karne se pata chalta hai ke ye aalme baala ke wo khitte hai jinme se har khitte ko nihayat mustahkam sarhado ne dusre khitto se alag kar rakha hai.Lekin inn sarhado ko paar karke kisi ashya ke ek taraf se dusri taraf jana nihat hi mushkil hai.

Iska matlab allah taala ne har khitte me syaara yaa sitaara rakh diya jisse pura aalam roshan ho utha.Dosto ab aap hi bataye 1400 saal pahele aisi kosi machine ya sattelite thi jisne aisi ashya se parda uthaya jisko 21 centuty me hum dekh rahe hai.Beshq ye allah ki kitab hai jisme aqal valo ke liye nishaniya hai. Aap se guzarish hai ke Quraan pak padhe aur ispar gaur kare aur is par amal kare .

Post a Comment

  1. https://bit.ly/3oWogWr
    https://bit.ly/3s4f2tn
    https://bit.ly/31RX3vC
    https://bit.ly/3dV48Ok
    https://bit.ly/3yA2I5d

    ReplyDelete

 
Top