Kohinoor Diamond 

kohinoor diamond,kohinoor diamond history,kohinoor,diamond,kohinoor diamond documentary,koh-i-noor,kohinoor diamond in london museum,kohinoor diamond history in hindi,kohinoor diamond price,kohinoor diamond in india,kohinoor diamond story,diamonds,kohinoor diamond hindi,kohinoor diamond story in hindi,history of the kohinoor diamond,story of kohinoor diamond,kohinoor diamond curse

Assalamu alaikum va rahematullahe va barkatuhu

         Dosto Kohinoor diamond ke baare me to aap sab ne suna hi hoga .Iske baare me kaha jata hai ke India ke Kuch hindu raja aur muslim hukmaran se hota hua 1526 me mughal badshah babar ke haath ius waqt aaya jab usne ibrahim lodhi ko shikast de kar delhi par kabza kiya tha .Babar badshah ki yaado par bani huyi kitab Babar naama me bhi is kitab ka zikar hai.Us kitab me likha hua hai ki wo diamond itna kimti hai ke iske badle me mili huyi daulat se puri duniya ke logo ko 2 dino tak khana khilaya jaa sakta hai.

Babar badshah ke baad ye diamond Humayu ke pass pohcha Iske baad Akbar badshah ke pass pohcha uske baad uske pote Shahjahan ne ise tijori se nikal kar apne pass rakh liya.aur ise baad me apne takht par lagva diya.Shah jahan ke baad jab iska beta Aurangzeb badshah bana to usne apne baap ko agara  me qaid karva diya.kaha jata hai Aurangzab ne shahjahan ki khidki par diamond ko aise lagaya tha ke usko vaha se taaj mahel dikhai deta tha.


Dosto asal me iss diamond me Kohinoor ka naam Nadir badshah ne diya tha.1739 me jab Nadir badshah ne Delhi par hamla kiya to vapsi par takhte taoos ke saath is diamond ko bhi Iraan le aaya.Jab Nadir shah ne paheli baar iss diamond ko dekha tha to iski zuban se nikla tha KOHINOOR .Kohinoor ka matlab hai Noor ka pahad.aur is tarha is diamond ka naam kohinoor pad gaya.Dosto kaha jata hai ke Nadir badshah se diamond ko chupa kar rakha gaya tha. lekin mughal badshah ke kisi ghar ke bhedi nehi nadir shah ko bata diya tha ke wo diamond badshah ke pagdi ke andar hai.bahot soch vichar karne ke baad Nadir shah ne ye ailan kiya ke wo delhi ka takht vapas karne ka iraada rakhta hai.Takht lautane ki takreeb me achank usne badshah se pagdi badlo dosti ka ailaan kiya .rasam ke mutabik usne apni pagdi nikal ke mohammed shah ko dedi javab me mohammed shah apni pagdi dene se inkaar na kar saka .Iss taraha wo diamond Nadirshah ke haath aaya.Us diamond ki chamak dekh kar Nadir shah ke honto se nikla Kohinoor.


Dosto 1747 me Nadirshah ke qatal ke baad Kohinoor diamond Afganistaan ke Ahmed shah abdali ke haath me aa gaya.1830 me kisi tarha wo diamond Maazul hakim shah sujal ne wo diamond haasil kiya.Aur isko apne saath lekar kaabul se lahore chala gaya.vaha wo Punjab ke raja Ranjeet singh se mila aur wo diamond haazir karke iltija ke ke wo diamond lekae East india ke angrezo ko apni taaqat ka istemal karte huye isse chini huyi sultanat ko vapas dilaye.Maharaja Ranjeet ne diamond apne pass rakh liya aur 1839 me marte huye vasiyat ki ke ye diamond orissa ka Jugalnath mandir ke havale kar diya jaaye.Lekin iski vasiyat par amal na ho saka aur 1848 me Punjab par angrezo ka kabza ho gaya.Aur Lahore ke qile par Bartanya ka jhanda laherane laga.


Lahor me jo sharte likhi gayi thi usme ek shart ye bhi thi ke ye diamond Bartanya ki Queen ko diya jaayega.Aur iss tarha kohinoor ko badi hi hifazat ke saath bartanya pohchaya gaya.

Isko itne khufya tarike se lejaaya gaya ke jahaz ke kaptan ko aur kaam karne valo ko bhi iska pata nahi tha.wo bhi nahi jaante the ke iss lohe ki box me kya rakha hua hai.Jab ye jahaz maurishes pahocha to jahaz me haize ki vaba phail gayi.bandargah valo ne jahaz ko vaha thaherne ki ijazat nahi di.Jahaz vale aage ke safar ke liye khane peene ka saaman lena chahte the .Lekin vaha ke logo ne julus nikale unko vaha se bhagane ke liye.

Aakhirkaar 16 April 1850 ko India se ravana hone valaa jahaz Takreeban 86 din ke baad bartanya pahoch gaya. Aur usi saal diamond ko hydar park me rakha gaya ke public bhi isko dekh sake.Uss vaqt se diamond bartanya ke pass hai.vaise kai Mulk iss diamond ki Milkiyat ke liye daave karte rahete hai.Aur wo isko haasil karne ki khawahish bhi zahir kar chuke hai.


India ke alava Pakistan,Iraan bhi diamond ko apna batate hai aur vaqt vaqt par uske lene ki baat karte hai.Aaj kal vo diamond Kohinoor diamond England tower me rakha hua hai.

Post a Comment

 
Top