Why Allah said human and stone fuel of hell


hell,fuel,fuel from hell,the fuel of hell fire,why allah said humans and stones are fuel of hell (scientific research) in urdu hindi,rock,bad fuel pump cause of crank no start,hell of a ride,life of hell,rain of fuel,hell's bells

Assalm walekum va rahematullahe va barkatuhu

Dosto Jahannum ka naam jaise hi hum sunte hai hamare body me ek ajeeb si kaifyat taari ho jaati hai. Allah ne gunehgaro aur nafarmano ke liye ek aisa aqoobat khana tyyar kiya hai
jiski sakhtiya aur haulnakiya hamare tasavvur se bhi aage hai .Ye ek aisa kaidkhana hai jaha mujrim maut ko tarsega lekin use maut nahi aayegi wo pal pal marega har taraf maut hi naach rahi hogi lekin phir bhi uska saamna maut se nahi hoga . jahannum ek bahot hi bura thikana hai.

Allah tala jahannum ke baare me batate huye kaheta hai =Iske saamne dozakh hai jaha wo peep ka paani pilaya jaayega .Jise bamushkil ghut ghut piyega phir bhi wo uske gale se niche naa utrega.Aur ise har jaga se maut aati huyi dikhai degi lekin wo marne vala nahi phir iske piche bhi sakht azaab hai.(Sure ibrahim,16,17,)

Dosto jab hum duniya ki aag me jhulse huye jism dekhte hai to hamari rooh kaanp jaati hai jinka dil kamzor hota hai wo to jali huyi body ko dekh bhi nahi paate .Zara sochiye jahannum ki aag me jalne vale ka anjaam kya hoga.Iss aag ki shiddat ka ye aalam hoga ke nabi kareem SAW ne farmaya =Tumhari(Duniya ki)aag jahannum ke aage ke mukable me (apni garmi )sattar va hissa hai."Kisi ne pucha ya rasool allah !(kuffar aur hunehgaro ke azaab ke liye)ye hamari duniya ki aag bhi bahot thi ."Aap SAW ne farmaya duniya ki aag ke mukable me jahannum ki aag 69 guna badhkar hai."(Sahi bukhari :3265)

Allah tala Quraan me irshad marmate hai =Zaalimo ke liye humne wo aag tyyar kar rakhi hai jiski qanate inhe itni gher legi .agar wo faryad rasi chahege to inki faryad rasi us paani se ki jaayegi jo tel ki talchat jaisa hoga jo chehere bhoon dega bada hi bura pani hai.aur badi buri aaramgah(Dozakh)hai.(sure alkahaf:29)

Dosto Jahannum ek aisa qaid khana hai jaha ke qaidyo ki libas bhi bilkul nurala hai unke libas bhi aag se bane hoge .Iske baare me quraan me irshad hota hai.

"Pas kafiro ke liye to aag ke kapde Boinat kar kaate jaayege ,aur inke saro ke upar se kholta hua paani bahaya jaayega .Jis din inki pet ki sab chize aur khaale pighla di jaayegi aur inke sar ke liye lohe ke hathode hai.(Sure Alhajj:19-21)

Dosto in qaidyo ke bistar aur chadre bhi aag ki hogi ,Iske baare me Irshade bari hai ="Lekin agar tum ye nahi kar sakte ho aur tum ye kabhi nahi kar paoge to phir iss aag ka khauff karo jis ka indhan insaan aur paththar hai."(Sure albakrah:24)


Dosto ye baat sochne laayk hai ke quraan majeed me sirf do makhlook ke hissab ka zikr hai.aur wo hai Insaan aur Jinn .In makhlookat me jinke aamal bure hoge wo jahannum me jaayega .Lekin sochne ki baat ye hai ke sirf insaan ko hi jahannum ka indhan kyu kaha gaya hai jinnat ko kyu nahi.Haalaki jinnat bhi jahannum me jaayege lekin wo iska indhan nahi hoge .balki insaano ke saath saath in pattharo ko bhi jahannum ka indhan kaha gaya hai jinke hisab kitab ka kahi zikr nahi.To yaha sawal ye hota hai ke insaan aur patthar hi jahannum ka indhan kaise ho sakte hai.Aur insaano aur pattharo ko istemal karne ke liye jahannum bahot zyzda hararat kaise paida kar sakti hai.

To dosto jab hum quraan ki iss aayat ka tajziya karte hai to phir hum ye dekhte hai.ke hamare suraj jaise chote aur darmiyani sitaro me Hydrogen,Carbon aur Oxygen jaise gases milkar Helium paida karti hai.Aur ye helium aage suraj aur suraj jaise dusre bade sayyaro ko jalne me madad deti hai.Is amal ko science ki zubaan me Carbon,Nytrogen,Oxygen Cycle kaha jata hai.

Dosto agar insaani jism ka mutalla kiya jaaye keemyai taur par 16 bade element shaamil hai.Jinko bio elements kaha jata hai.Jinme Carbon,Nitrogen aur Oxygen bahot zayada hai.
Quraan kareem ka kahena hai ke ye Hydrogen,Nitrogen ,Oxygen aur Carbon par Mushtamil insaan Jahannum ka indhan hai.Aur jab hum ise science ke taur par dekhte hai to ye saabit hota hai ke ye wahi element hai jo aag aur sitaro ke indhan hai .

Bahot se pattharo me silica hota hai jo silicon aur Oxygen  ka murakkab Hota hai.ye zameen ke niche vahi patthar hai jo jal kar laava ki shakal me bahar aate hai.Quraan kareem ne pattharo ko jahannum ka indhan bataya hai.Aur yahi nahi science ke mutabik pattharo me silicates shamil hai.jo gair mamooli aala darje hararat paida karte hai aur khaulte huye lava ki shakal me bahar aate hai.

Iss saari bahes se hame pata chalta hai ke quraan kareem ki taraf se jahannum me pattharo aur insaano ke indhan ka bayan Intehai garam sitaro ke burning process se mukammal milta hai.Kyuki insaan aur patthar dono hi in elements se bane hai jo garam sitaro ka indhan hai.

Dosto ye malumat hame 1400 saal pahele quraan me batayi gayi hai ,jab sitaro ka ilm bhi nahi tha.ye ek aisa moajjza hai jiska inka naa mumkin hai.Aur tamam taarif allah ke liye hai jo dono jahano ka rab hai.Aur vahi khuda hai jo sabse behter jaanta hai.

Ummed karta hoo aapko samajh aagaya hoga ke kyu allah tala ne insaano aur pattharo ko jahannum ka indhan kaha hai..

Allah hafiz.  

Post a Comment

 
Top